शनिवार, 18 अप्रैल 2009

Tumhaara naam kuch aise mere hoonthoon pe khilta haiAndherii raat mein jaiseAchaanak chaand baadal ke kisi kone se jhaankta haiAur saare manzaroon mein jaise roshnii sii phail jaati haiAur jaise larazti auus ke qatre pehan ke muskuraati haiTo khushboo baagh ki deewaar se rooke nahin ruktiUssi khushboo ke dhaage se mera har chaak silta haiTumhaare naam ka taara meri saansoon mein saansoon mein khilta haiTumhein jab dekhta hoon jab safar ki shaam se pehleKisi uljhi hoi gumnaam si jinta ke jaadoo meinKisi soche joe benaam lamhe ki khushboo meinKisi mausam ke daman mein kisi khvaahish ke pehlo meinTo iss khushrang manzar mein tumhaarii yaad ka rastaNajaane kis taraf phuut-ta haiAur phir aise mein mere hamraah chalta haiKe aankhoon mein sitaaaroon ki guzar-gaahein si banti hainDhanak ki kehkashaaein siiTumhaare naam ke in khusnuma lafzoon mein dhalti hainKe jin ke lams se hoonthoon pe jugno raqs karte hainTumhaare khvaab ka rista meri niindoon se milta haiTo dil abaad hota haiMera har chaak silta haiTumhaare naam ka taara meri raatoon mein khilta hai

0 टिप्पणियाँ:


Blogspot Templates by Isnaini Dot Com and Wedding Bands. Powered by Blogger